Pages

Wednesday, November 2, 2016

फ़ोन के पैटर्न को केसे तोड़े

pattern lock kholne ka tarika

Mobile ka Pattern Lock Aor password kholne Ka Kaam Koi Muskil Nahi Balki Bhut Simple Hain. Lekin Isse kaise tode Aor open Kare Unlock Karne Ka Tarika Ye Sawaal Aapka Bhi Hoga .
Isliye Iss Post Ke Ham Iske Hi Baare Me Jankari Ki Baat Karenge Ki Kaise Ham Apne Pattern Locked Phone Ko Unlocked Kar Sakte Hain . Technology Ki Badhti Huyi Dunia Me Aaj Ke Time Me Sabkuch Sambhab Hai .

Bs Uss Cheez Ko Samjna Jaruri Hota H Ki Kishi Kaam Ko Kis Traha Se Kiya Jaye Ki Uska Hal Nikal Jaye . Yeh baat Toh Aap jante hi hai ki aaj ke time me android mobile phone ko safe rakhna hai toh aapko Phone Ka Pattern Lock Karna kitna jaruri ho gaya hain aor Device toh hamari jindki ka Ek Hissa Ban Gaya hain.

Yaha tak ki smartphone ne computar ko bhi piche choodh diya hain . Aor Har koi social media se jura huaa hai. Aor BHUT hi Sasti price me mil rahe hai ki inko ab koi bhi kreedh sakta hain . Ab baat karte hai Apne android Mobile ko safe rakhne ki Tips

Android Device ek esa device hai jisme ham apne personal data save rakte hain Aor Hamko Safe bhi rakhna hota h isliye ham data safti ke liye Usme Lock Set kar dete hain taki koi usko open naa kar sake.

Aor aapko sayad pata ho toh android phone me lock 2-3 taraha ke hote hai.
1. Pattern
2. English keyword
3. Math word

Agar ham English keyword Aor Math Word Ka pattern lock set karte H toh koi bhi in lock ko kitna bhi Worng enter kare lekin yeh lock DeD ( Kharab ) Nahi hote.

Lekin baat jab Pattern lock ki karte hain toh isko 4-5 baar wrong lagane par hi hamesa ke liye ded ho jata hain Aor lock deserted karwane ke liye computar shop par jana parta hai aor 250-300 ₹ Bhi kharch ho jate h.

Lekin ab mai yaha aapko android mobile
ka pattern ko unlock karne ka sabse simple tarika batane ja raha hu wo bhi bina google account aor internet connection ke
Andriod Mobile Ka Pattern Unlock Kaise Kare Tode & Khole

1.
Sabse phele apne Device ke Power On Off + Volume Down Ke button Ko Ek Sath Dabaye Aor Switch Off Khole.

2.
4-5 second me ek page open hoga jaisa ki niche bataya gaya hai.
Isme aapko volume Down button ki help se
” Wipe Data /Factory Reset ”
Par Power on /off ki help se ok press kare Aor Next Step Khole .

3.
Itna karne ke baad aapka Handset Reset Hone lag jayga aor aapko puraa data delete hoker fir se Open Ho jayga



  • Dushra tarika.   


Step:1) Sabse pehle aap kya kariye apne mobile ko switch off kar dijiye aur uski battry ko hata dijiye ,iske 2 second baad battery ko fir se laga do (Lekin abhi switch on mat karna)

Step:2) Ab aapko kya karna hai ki apne phone ki recovery mode me jakar phone ko reboot karna hai .Lekin sabhi companies jaise samsung ,micromax,htc etc phones ke recovery mode me pahuchne ke liye alag alag tarike hote hai ,kucch common componies ke tarike main neeche bata raha hoon dhyan se dekhiye aur ek ek word sahi se padhna nhi to recovery mode nhi khol paoge aap.
Samsung : Agar aapke paas samsung ka phone hai to Volume Up + Home + Power key teeno button ko ek sath dabaye rakhna hai lagbhag 10 second tak .(Agar aapke mobile me home ki button nhi hai to koi baat nhi simply volume up+ power key hi dabaye rahiye jab tak samsung ki logo screen nhi dikhne lage)

Note: Dhyan rahe pehle volume up button dabana iske turant hi baad jyada time mat lagana power button dabani hai.

HTC : Agar aapke paas HTC ka phone hai to sabse pehle volume up key dabaye rahiye isko chhodna nhi aur sath hi power key dabana usko bhi mat chhodna dono key ko ek sath dabaye hi rehna hai jab tak ki recovery mode show na karne lage

Note: Dhyan rahe pehle volum up fir power button dabana hai

Micromax : Agar aapke paas Micromax ka phone hai to sabse pehle power key iske baad volume up ki iske baad volume down key teeno ko ek sath dabaye rehna jab tak ki recovery mode na aa jaye.
Note: Yaad rahe volume up ka matlab hota hai jis key se hum gaane ki aawaj badhate hai
volume down ka matlab hota hai jis key se hum gaane ki aawaj kam karte hai
aur power key ka matlab hota hai jis button se hum apne mobile ka switch off kholte hai

Step:3) Ab jaise hi aapke mobile ki
recovery mode ki screen khul kar aayegi to aapko usme kayi sare option dikhenge .ab yanha par aapko agar upar jana hai to volume up key dabana aur agar neeche jana hai to volume down key dabana aur agar kisi option par jakar okay
karna hai to iske liye power button dabana hoga.

Step:4) Aapko is screen par " Wipe Data/ Factory Reset " ya fir " Restore factory defaults " ya fir "Delete all user data " naam ka koi ek option milega ye aapke phone ki manufacturing par depend karta hai simply jo aapke phone me option ho us par jakar okay karna hai power button dabakar.

Step:5) Iske baad kucch option honge usme se Reboot System Now ka ek option hoga us par jakar okay kar dena power button dabakar.

Step:6) Bas ab kya aapke phone ki rebooting process start ho jayegi ,isme thoda time lagega so aap ghabrana mat .

jaise hi process khatm ho jayegi to aap dekhenge ki aapke android phone se pattern lock puri tarah se hat chuka aur aapka phone bilkul naya jaisa ho gya hoga jaisa ki jab aapne usko kharida tha utna hi data bachega .

No comments:

Post a Comment